An awe-inspiring poetry and recitation in Praise of Imam Al Hussain Radi Allahu Ta'ala Anhu written by Taaj al-Shariah Mufti Muhammad Akhtar Rida Khan al-Qadiri and recited by Sayyid Zaman Ali Jafri (may Allah preserve them both).
Lyrics:
Shujaa'at Naaz Karti Hai Jalaalat Naaz Karti Hai
Woh Sultaan e Zamaan Hain Unn Pai Shaukat Naaz Karti Hai
Sadaaqat Naaz Karti Hai Amaanat Naaz Karti Hai
Hamiyyat Naaz Karti Hai Murawwat Naaz Karti Hai
Shah-e-Khoobaan Pai Har Khoobi o Khaslat Naaz Karti Hai
Kareem Aisai Hain Woh Unn Par Karaamat Naaz Karti Hai
Jahaan e Husn Mai Bhi Kuch Niraali Shaan Hai Unn Ki
Nabi Kai Gul Pai Gulzaaroun Ki Zeenat Naaz Karti Hai
Shehanshaah e Shaheedaan Hou Anoukhi Shaan Waalai Hou
Hussain Ibn-e-Ali Tum Par Shahaadat Naaz Karti Hai
Bithaa Kar Shaana e Aqdas Pai Kardi Shaan Dou Baala
Nabi Kai Laadloun Par Har Fazeelat Naaz Karti Hai
Jabeen e Naaz Unn Kee Jalwa Gaah-e-Husn Hai Kis Ki
Rukh e Zaiba Pai Hazrat Kee Malaahat Naaz Karti Hai
Nigaah e Naaz Sai Naqsha Badal Daitai Hain Aalam Ka
Adaa-e-Sarwar e Khoobaan Pai Nudrat Naaz Karti Hai
Fidaaee Houn Tou Kis Ka Houn Koi Daikhai Mairi Qismat
Qadam Par Jis Haseen Kee Jaan-e-Tal'at Naaz Karti Hai
Khuda Kai Fazl Sai ~Akhtar Mein Unn Kaa Naam Laiwaa Hun
Mein Hun Qismat Pai Naazaan Mujh Pai Qismat Naaz Karti Hai